Wo raat fir aayi hai
Fir se Khirki se barish ki boonde takrayi h
Fir se chai ki wo sondi sondi khushboo aayi h
Fir se wo samne wale paharo pe haryali chhayi h
Par yaadein jitni bhi aaye tum mat aana.
Fir se bijli gayi , or fir se mombatti me tera chehra jagmagaya h
Fir se wo office wali bus chhuti h
Fir se wo cab ki sawari aayi h
Fir se chowk pe momos wale ne discount lagaya h
Par yaadein jitni bhi aaye tum mat aana
Wo fir se maine pav bhaji thodi jyada tikhi banayi h
Fir se usme Maine makkhhan ke bajay diet wala oil milaya
Fir se wo foolo wala darwaje pe aaya h
'Madam k liye taaze gulaab hain",
"paise agli dafa lunga bolke laut gaya h".
Wo tumhari gali ke romeos ne fir se gusse se dekha h
Fir se unhe laga h ki unki mohabbat pe mera kabja h
Fir se meri cctv aunty ne chhup ke mujhpe nazreein daurayi hain
Fir se tumhari di hui bottle mein pani jyada meethi laagi hai
Tumhari di hui ghari me waqt aaj bhi thehra h
Shayad dil chahta h waqt wahin thehra rahe
Par yadeein jitni bhi aaye dekho tum mat aana
Wo meri bike fir se aaj tere college ke samne kharab hui
Fir se meri bike ne teri jhhalak ki raah dekhi
Us gateman ne fir se aaj meri bike ka haal puchha
Or fir se tumhe bina dekhe main aage badh gya
Bistar ki sirvato me aaj bhi teri khushboo simti h
Wo mere kanghe me teri julfe aaj bhi uljhi hain
Chahta to nikal deta par yaadein to anmol hain
Par yadeein jitni bhi aaye ab tum mat aana
Laut ke mat aana.
✍️ROHIT RAJ✍️
0 Comments