Use date karna tha
Par mujhe to ishq hua tha
Ab Main thehra 90s ka Hindi medium
Hume to date me bas meethe khajur yad aate Hain
Bas fir Kya tha nikal pada main date ki duniya me hath aajmane.
Pehli date par hi wo Swiss restaurant
Or uska wo khatarnak menu
Shayad ek dictionary v rakh dete to behtar hota
Fir aata h wo so called garnished Khana
Jiska aajtak na naam samjh me aaya na swad
Mujhe yad h jab usne un do chhote chhote dando se noodles khane shuru kiye
Or mere fork maangne pe mujhe hi kha jao Wala look Diya tha
Khair Meri dhili si jeb or dhili Hui
Or ummeedeein thodi or tang
Uski or Meri dictionary v kitni juda thi
jitne naam usne Pyaar ko de rakhe the
Utne me hamare yhan bache SSC exam 2 bar
pass ho jate
Alignment, inclination, proper space, getting along, seeing each other or Han wo sabse bhayanak Wala compatibility
Mahine din lag gye in shabdo ka Matlab samjhne me
Fir v samjh na paya is ishq ke itne naam kis gyani ne banaye
Main fail hone hi Wala tha apne ishq me
Par tabhi hamari dusri date ki date fix hui
or fir usne biryani mangvai
Or apne hatho se khayi
Bas fir Kya Meri ummedein ko
Helicopter ke pankh lag gye
Fir teesri, fir chauthi or fir na jaane kitne khoobsurat pal aankhon me kaid hote gye
M pass hone laga tha
Par tabhi ek din usne fir puchha
"Do you think we are compatible"??
Fir wahi m or mere hindi medium rooh ko
aaj tak is bhayavah shabd ka Matlab ni samjh aaya tha keh Diya
"Han, Han bilkul, sab thik h".
Par wo v Kahan manne wali thi
usne v keh Diya
"I don't think so"
"We should explore more"
Ab fir wahi dictionary ka fark
Science me space exploration to padha tha.
Wo v boards k bad kabhi Kam ni aaya
Ab ye ishq ka exploration kese karta
Par ab use to karna tha use sab pata tha
Wo nikal padi apne dates ke exploration me
Or main yaad karta raha use
Apne ishq ke janaje mein.
📝 Rohit Raj 📝
0 Comments