Kai saalo bad wo fir aayi. 💔💔💔💔
Aankho ne pehchana
Dimag ne kaha jagah mat Dena
Bilkul mat dena
Yad h jab gayi thi
Or tune rateein goliyon ke sahare bitayi thi
Tu kitna roya tha, tu kitna roya tha
or maa ke puchhne pe
Takiye pe chai gir gayi kaha tha
Fir Dil ne kaha nadaan thi
Chal ek or mauka dete Hain
Pehli dafa mukkammal na hua to Kya hua
Dusri dafa fir koshish karte Hain
To bas Kal subah fir wo, uske khule baal or wahi uski scooty
Or m pichhe ek Bache ki tarah baitha
Na usne kuch kaha , na Maine
Hamari khamoshiyon ne fir se bateein ki
Or uski julfo ne hawaon se.
Seher badla badla sa tha
Saal bhi to badla tha
Nahi badli thi to bas uski wo adhe Chand ki muskan
Fir se wo chai ka tapri, fir se wahi big Bazaar ki sidhiya
yaadein to taaza Hui par dard bhi taaza ho gye.
Aisa laga wo chai fir se meethi ho gyi
Wo sadke fir se muskurane lagi
Fir se, fir se wo golgappe wale bhaiya ki smile jinhe lagta tha hum to sath k liye bane hain.
Fir se use dekhne k liye kuch pal churana
Or fir se uska puchhna - "Kya kuch kehna chahte ho"?
Kehne ko tha to bahut kuch par fir Socha kahin uski "so called alignment" me fit ni aaya to
Fir kuch nahi bolke fir se khamosh reh gya
Din bite mahine bite or fir wahi nasamjhi,
Fir wahi naadani
Maine kuch or kaha or usne kuch or samjh liya
Or uske wo bhari bharkam shabd to aise hi kabhi mujhe samjh ni aaye
Wo to bas uski aankhein padhke hi samay kat jata tha
Fir galatfehmiyo ka daur aisa Chala or usne fir keh Diya
Hum ek dusre k liye nahin bane, tumhe mujhse behtar mil jaygi
Ab use Kon samjhaye Maine behtar ka intezar ni Kiya,
Maine intezar to uska Kiya tha
Uski nadaniyo ka Kiya tha
Uski khamoshiyon ka Kiya tha
Khair wo fir chali gayi
Sayad kabhi na aane ko
Or main fir reh gya uska intezar Karne ko.
0 Comments